Chitaavani Bhaag Teesra
Updesh Satguru Bhakti Ka
Bachan Solahvaan, Shabd Pahla
Yah Tun Durkabh Tumne Paaya, Koti Janm Bhatka Jab Khaaya.
Ab Ya Ko Birtha Mat Khovo, Cheto Chhin Chhin Bhakti Kamaavo.
Bhakti Karo To Guru Ki Karna, Maarag Shabd Guru Se Lena.
Shabd Maargi Guru Na Hove, To Jhoothi Guruvaai Leve.
Guru Soi Jo Shabd Sanehi, Shabd Bina Doosar Nahi Sei.
Shabd Kaha Main Gagan Shikhar Ka, Shabd Kaha Main Sunn Shahar Ka.
Shabd Kaha Main Bhanvar Dagar Ka, Shabd Kaha Main Agam Nagar Ka.
Guru Pahichaan Khoob Main Gaai, Dhokha Ya Mein Kuchh Na Rahaai.
Shabd Kamaave So Guru Poora, Un Charnan Ki Ho Ja Dhoora.
Aur Pahichaan Karo Mat Koi, Laksh Alaksh Na Dekho Soi.
Shabd Bhed Lekar Tnm Unse Shabd Kamaao Tum Tan Mana Se.
Apne Jeev Ki Kuchh Daya Paalo, Chauraasi Ka Pher Bacha Lo.
Nahi Narkan Mein Ati Dukh Payiho, Agni Kund Mein Chhin Chhin Dahiho.
Yah Sukh Chaar Dino Ka Bhaai, Phir Bukh Sada Hoye Dukh-Daai.
Baar Baar Main Kahoon Chitaai, Daya Tumhaari Mohe Sataai.
Mere Man Karuna As Aai, Cheto Tum Guru Hoyen Sahaai.
Bin Guru Aur Na Poojo Koi, Darshan Kar Guru Pad Nit Sei.
Guru Pooja Mein Sab Ki Pooja, Jas Samudr Sab Nadi Samaaja.
Devi Deva Eesh Mahesha, Sooraj Shesh Aur Gaur Ganesha.
Brahm Aur Paarbrahm Satnaama, Teen Lok Aur Chautha Dhaama.
Guru Seva Mein Sab Ki Seva, Ranchak Bharm Na Maano Bheva.
Taate Baar Baar Samjhaaoon, Guru Ki Bhakti Chhin Chhin Gaaoon.
Gurumukh Hoye Guru Aagya Barte, Guru Barti Ik Chhin Mein Tarte.
Guru Mahima Main Kahaan Lag Gaaoon, Guru Samaan Koi Aur Na Paaoon.
Guru Astut Hai Sab Mat Maaheen, Guru Se Bemukh Thaur Na Paai.
Bhog Bilaas Hukoomat Jag Ki, Dhan Aur Haakim Ke Bas Rahti.
Haakim Seva Tum Kas Karte, Dhan Aur Maan Barraai Lete.
Aagya Uski As Sir Dharte, Khaan Paan Nindra Bhi Tajte.
So Dhan Jorr Kiya Kya Bhaai, Jagat Mein Diya Urraai.
So Jag Ki Gati Pahile Bhakti, Chaar Dina Phir Hai Nahi Baaki.
So Dhan Kaaran Haakim Seva, Aisi Karte Kya Kahun Bheva.
Guru Seva Jo Sada Sahaai, Taako Aisi Peeth Dikhaai.
Din Nahi Paksh Maas Nahi Barsa, Kabhi Na Darshan Ko Man Tarsa.
Kaho Kaise Tumhra Uddhaara, Nark Nivaas Dukkh Chau Dhaara.
Us Dukh Mein Kaho Kaun Sahaai, Guru Se Preet Na Kari Banaai.
Jo Iski Parteet Na Laao, To Man Apna Yon Samjhaao.
Rog Dukkh Nit Prati Sataai, Maut Piyaade Hain Yah Bhaai.
Mrityu Hon Mein Nahi Kuchh Sansa, Vah To Kare Sakal Jiv Hinsa.
Yah Hinsa Rum Par Bhi Aave, Ik Din Kaal Sees Par Dhaave.
Us Din Ka Kuchh Karo Upaai, Dhan Haakim Kuchh Kaam Na Aai.
Par Jo Samajhvaar Tum Hite, To Dhan Se Kuchh Kaaraj Lete.
Kaaraj Lena Yah Hai Bhaai, Guru Seva Mein Kharch Karaai.
Guru Nahi Bhookha Tere Dhan Ka. Un Pai Dhan Hai Bhakti Naam Ka.
Par Tera Upkaar Karaaven, Bhookhe Pyaase Ko Dilvaaven.
Unki Mehar Muft Tu Paave, Jo Unko Parsann Karaave.
Unka Khush Hona Hai Bhaari, Satpuruh Nij Kirpa Dhaari.
Guru Prasann Hoyen Ja Oopar, Vahi Jeev Hai Sab Ke Oopar.
Guru Raazi To Karta Raazi, Karm Kaal Ki Chale Na Baazi.
Guru Ki Aan Sabhi Mil Maane, Shukdev Naarad Byaas Bakhaane.
Taate Guru Ko Lev Rijhaai, Auran Reejhe Kuchh Na Bhalaai.
Guru Prasann Aur Sab Roothe, To Bhi Uska Rom Na Toote.
Auran Ko Prasann Jo Karta, Guru Se Droh Ghaat Jo Rakhta.
Guru Ki Ninda Se Nahi Darta, Guru Ko Maanush Roop Samajhta.
So Naraki Jaano Apghaati, Us Sang Doot Karen Utpaati.
Yaate Samjho Boojho Bhaai, Guru Ko Prasann Karo Banaai.
Kul Kutumb Kuchh Kaam Na Aai, Aur Biraadari Kare Na Sahaai.
Yah To Chaar Dina Ke Sangi, In Nij Swaarath Mein Budhi Rangi.
Lajja Dar In Ka Mat Karo, Guru Bhakti Mein Ab Chit Dharo.
Guru Sahaayata Yahaan Vahaan Karen, Unse Karta Bhi Kuchh Dare.
Kul Kutumb Se Kuchh Nahi Sare, In Ke Sang Nark Mein Parre.
Kaarya Maatr Barto In Maaheen, Bahut Moh Mein Bahu Dukh Paai.
Taate Satsang Satguru Sevo, Naam Padaarath Dam Dam Levo.
Guru Samaan Aur Naam Samaana, Teesar Satsang Aur Na Jaana.
In Se Sab Kaaraj Hoyen Poore, Karm Kaat Pahuncho Ghar Moore.
Yah Kahna Mera Ab Maano, Nahi Ant Ko Parre Pachhtaano.
Dhan Aur Maan Kaam Nahi Aave, Hukum Haakimi Sabhi Nasaave.
Ta Te Kuchh Bhakti Kar Leeje, Yah Bhi Suphal Kamaai Keeje.

Post a Comment
Post a Comment