Nirnay Shabd Athva Naam Ka
Bachan Dasvaan, Shabd Pahla
Naam Nirnay Karoon Bhaai, Dudha Bidhi Bhed Batlaai.
Varn Dhunaatmak Gaaoon, Dou Ka Bhed Darsaaoon.
Varn Kahu Chaahe Kahu Akshar, So Bola Jaaye Rasna Kar.
Likhan Aur Parrhan Mein Aaya, Use Varnaatmak Gaaya.
Lakhaayak Hai Yahi Dhun Ka, Bina Guru Phal Nahi Kinka.
Milen Guru Naam Dhun Bhedi, Surat Dhun Dhuni Sang Bedhi.
Ektr Naam Aur Naami, Karaaven Jo Milen Swaami.
Naam Varnaatmak Gaaya, Naami Dhunaatmak Paaya.
Varn Se Surat Man Maanjo, Bahuri Charrh Gagan Dhun Saadho.
Dhuni Dhun Ek Kar Jaano, Surat Se Shabd Pahichaano.
Shabd Aur Surat Bhaye Eka, Naam Dhunaatmak Dekha.
Guru Bin Aur Bina Karni, Mile Kas Kaho Yah Rahni.
Chaah Anuraag Jis Hoi, Bhaag Barr Gurumukhi Soi.
Naam Naami Dou Gaaya, Abhedi Bhed Samjhaaya.
Guru Ki Mauj Mein Sab Kuchh, Jise Chaahen Karen Gurumukh.
Gurumukh Hoye Tan Dhan Se, Kare Phir Preet Nij Man Se.
Lage Tab Jaaye Sun Dhun Se, Gaye Tab Teen Gun Tan Se.
Varn Dhun Dou Barna, Vaach Aur Lakah In Kahna.
Vaach Varnaatmak Jaano, Lakah Dhun Dhuni Pahichaano.
Varn Mein Bhekh Jag Bhoola, Marm Dhun Sant Koi Tola.
Varn Jap Jap Pachen Bhekhi, Mile Kuchh Phal Nahi Neki.
Bhed Dhun Ka Nahi Paaya, Naam Phal Haath Nahi Aaya.
Japen Nit Sahas Aur Laakha, Khule Nahi Nek Un Aankha.
Timar Sansaar Nahi Jaave, Moh Mad Kaam Bharmaave.
Dhuni Dhun Bhed Nahi Cheenha, Surat Aur Shabd Nahi Leenha.
Mila Nahi Guru Dhun Bhedi, Lakhaave Dhun Mite Khedi.
Kaal Ne Buddhi Un Chhedi, Muft Nar Deh Un De Di.
Daya Kar Sant Gohraaven, Zara Nahi Chitt Mein Laaven.
Paanch Dhun Bhed Batlaaven, Syrat Ki Raah Dikhaaven.
Dhuno Ke Naam Darsaaven, Roop Asthaan Kah Gaaven.
Surat Ka Jog Lakhvaaven, Jeev Nahi Kahan Un Maane.
Surat Le Gagan Charrhvaaven, Pind Mein Saar Batlaaven.
Charrhe Brahmand Tab Parkhe, Sahasdal Madhya Kuchh Nirkhe.
Bank Charrh Tirkuti Dhaave, Sunn Das Dwaar Gati Paave.
Mahaasun Jaaye Harkhaani, Bhanvar Mein Ja Suni Baani.
Amar Pad Mool Ja Dekha, Been Dhun Ka Mila Lekha.
Alakh Aur Agam Bhi Pekha, Naam Ka Mool Ab Dekha.
Kahoon Kya Khol Radhasoami, Sain Yah Samajh Parmaani.

Radhaswami!
ReplyDelete